Facebook page creation and importance | knowandask


Aajkal socialmedia ek zaruri maadhyam ban chukaa hai logo tak pohuchne ke liye, aam aadmee se lekar businessman har koi iske zariye logo tak apni baat pohuchaa sakta hai.

Kuch Social media platforms ka naam:

  • Facebook
  • Twitter
  • Instagram
  • Other sites

facebook takreeban 2 billion loog ishtmaal karte hai isi liye ya ek zaruri maadhyam hai logo tak pohuchne ke liye, jiske liye facebook page hoona zaruri hai.

Facebook page ke prakaar:

  • Agar aapne koi naya kaam suru kiya hai toh aap local business or place kaa ishtmaal kar sakte hai.
  • Agar aapki khud kee koi badi company, college, industry ya business hai toh aap Company, Organization or Institution kaa ishtmaal kar sakte hai.
  • Agar aapkaa page kisi ek tarah ke samaan ke baare mai hai toh aap Brand or Product page banaa sakte hai.
  • Agar aap koi prasidh hasti yaa koi artist hai toh Artist, Band or Public Figure page banaa sakte hai.
  • Agar appko kisi prakaar ke manooranjan ke liye page bannan hai toh Entertainment page banaaye.
  • Agar aapk kisi cause ke liye, yaa kisi samudaay koo darshaanaa chahte hai toh aap Cause or Community page banaa sakte hai.

Udharan ke liye aapkaa college hai or  aap logo tak uski jaankaari pohuchaana chahte hai facebook page ke zariye

Steps:

  • Facebook bannane ke liye Company, Organization or Institution chune.
  • Uska varg chune [category]
  • Apne college kaa naam likhe.
  • Apne college ka logo upload kare.
  • Aapke college ka web address mention kare or uske bare mai kuch likhe. Jaise aapkaa college top college mai aata hai to aap likh sakte hai top btech colleges in up taaki logo koo bhi iski jaankaari mil sake jab wo serach kare.

AUR aapkaa facebook page tayar hai.

  • Ek baar aapkaa facebook page tayaar hoone ke baad ushe settings mai jaake unpublish kar ka rakhe jab tak aapne puuri jaankaar ushme bhar naa di ho, kyuki aapk bhi logo tab adhuuri jaankaari nahi pohuchaana chahte hoonge.
  • Facebook page mai jaake edit page ka ishtmaal kare koi bhi jaankaare change karne ka liye.

facebook page ke faaide:

  • Ishke zariye aap apne business ko kam daam mai jyada se jyada logo tak pohuchaa sakte hai. Udharan ke liye aapne koi naya kaam suru kiyaa hai or aap sabko uske bare mai suchit karnaa chahte hai to aap ye facebook page ke zariya kar sakte hai.
  • Kam daam mai jyada leads generate ka liye. Udharan ke liye wbjee 2018 ke parinaam nikal chuke hai, vidhyarthiyo na colleges duhundnaa suru kar diya hai, ushi samay aap apne college kaa advertisement karke students tak pohuchaa sakte hai or unki jaankaari prapt kar sakte hai baad mai unhe sampak karne ke liye, admission ke liye.
  • Aap facebook page Insights ke zariye aapke vygayaapan kee puuri jaankaari praprt kar sakte hai jaise, kitne logo tak wo pohuchaa, kitne logo na ushe dekhaa, kitne logo na usme react kiya or aapki website mai aai or bhi baaki jaankaari.
  • Appki website kaa traffic badhaane ke liye madad kar sakte hai aapkaa page.
  • SEO mai aapki madad kar sakta hai aapkaa facebook page.
  • Samajh lee jiya ki aapki Interior Design in Bangalore ya Construction company in Bangalore hai toh aap aapki company ke naam se eg: https://www.facebook.com/aryantstructures (page for Aryant Structures Pvt. Ltd.) ek page bana ke uska facebook mai promotion kar sakte hai or jyada se jyada facebook users tak pohuch sakte hai.

Yeh sab karne ke baad bhi agar aapko lag raha hai ki facebook page ke zariye aapko koi madad nahi mil rahi hai toh aapko usko kabhi delete kar sakte hai.

Facebook page delete karne ka liye follow path:

Open facebook page Click settings –Select remove page
Aapko ek alert message milegaa ki 15 din mai aapkaa Facebook page delete hoo jaayega, Facebook aapko 15 days kaa samay deta hai taaki agar aap chaihe toh kab bi aapke page ko active kar sakte hai.
Agar aap ne mann bana hi liya hai tooh aap 15 days ke baad vapas aake aapka page delete kar sakte hai.

Comments